Search your Topic HERE....

January 21, 2016

IBPS PO V Interview Review - Ajay Kumar Shakya (Noida)

Leave a Comment

sponsored links

Name - Ajay Kumar Shakya / Kumar Ajay

Centre - Bank Of India, Noida Sec- 62

Date - 20/02/2016

Time - 1 PM

Panel - 1

5 members in panel (4M+1F)
I was nervous before entering the room but panel was so friendly that at one time i forgot that its a interview we were just having a general conversation as friends.During my turn Chairman went out to attend a phone call(good sign for me as only 4 left).

M1- Apne baare mein btao
Me- Told (In English)
M1- arre yar hindi mein baat karte hain hum kaunsa angrez hain.
Me - Achcha sir
M1- shakya(sirname) ka kya matlab h
Me- Told
M2 - To tumne MBA kiya h
Me - Haan sir Marketing mein kiya h
M2 - 2012 Passout uske baad kya kiya
Me - sir main upsc civilservices ki tyyari kar rha tha 2 attempt diye i baar prelims clear nhi hua aur doosri baar mains nhi hua aur uske baad aap k saamne hoon.
M3 - Optional subject kya tha
Me - sir Public Administration
M3-  achcha ye btao ki markiting ka bank mein kya istmal(use) h
Me - sir aaj ke time marketing sabse zaroori h kyunki abhi itni sari schemes aayi h uske baare mein customers ko aware karne k liye. Sir marketing hamesha long term k liye ki jaati h.
M1 (interrupted)- Koi schemes btao
Me - PMJDY, Gold Schemes, Standup, Startup 
M2 - Ye Gold scheme kya h
Me - Sir Sovereign gold bond, gold monetisation.....
M2 (interrupted) - abhi aaj kal mein kaunsi start hui h
Me - sir Sovereign Gold Bold Scheme
M2 - iski min limit kya h
Me - Sir 30gm (wrong)
M2 - yar marwaoge kya itna sona kiske paas h
Me - nhi sir 2gm h thoda confusion ho gya tha
M2 - maximum limit kya h kab withdraw kar sakte h aur return kitna h
Me - sir Max limit 500gm per person per year h waise 8yrs k liye h par 5yrs k    baad kabhi bhi withdraw kar sakte h aur ispar 2.75% ka return milta h.
M2 - achcha ismein gold ki min price kitni rakhkhi gayi h per gm
Me - sir Rs. 2600 kuch h
M2 - Rs. 2600 kuch kya ye hi to h darr kyun rahe the bolne mein
M2 - achcha ye btao ki aagar tum aaj paisa lagate ho to 5ys baad tumhe kitna paisa milega aur ye kaise decide hoga ki 5yrs baat gold ka kya rate aur kaun decide karega.
Me - sir ye RBI decide karega par kaise karega woh nhi pta
F - Tumne kabhi bank mein job ki h
Me - nhi maam par karna pasand karoonga
M1 - tumne kuch startup standup karke bola tha woh kya h
Me - sir Startup, standup india. standup india basically sc/st aur women entrepreneurs ko encourage karne k liye h
M2(interrupted)- to kya ismein general logon ko loan nhi milta kya
Me - nhi sir ye sirf sc/st aur women k liye h 
M2 - to ye startup aur standup alag h kya
Me - Yes sir ye dono alag alag scheme h
M1 M2 M2 (interrupted) - kya baat kar rhe ho ye ek hi scheme to h
Me - nhi sir alag alag h
M1 - Achcha to ye startup india mein 19 points h unmein se koi 5 btao
Me - told
M3 - tum mujhe ek saving a/c becho
Me - told par sayad convince nhi the
F - ye cheque pick up facility(used in my previous answer) term kaise pta
Me - Maam maine ye apne dost k father se suna tha ye privileged customers k liye service hoti h
F - kaunse bank mein A/c h unka
Me - SBI
M1 - ye privileged customers k liye banking mein kya term hoti h
Me - sorry sir nhi pta
M1 - answered (ek term boli woh yaad nhi)
M1 - achcha aap jaa sakte h
Me - thank you all

Thats it...............

Hope we all do well and make it to the list


sponsored links

0 Responses:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...