Search your Topic HERE....

November 30, 2015

IBPS RRB Office Assistants Interview Experience - Vivekanand Panchal

Leave a Comment

sponsored links

Name : Vivekanand Panchal

Date of Interview : 26-11-2015 

Venue : Aurangabad Hotel Varsha inn

Panel :

Time : 1 PM

Language : Marathi
Subah 10 baje ke karib mai Interview center par pahuncha. Morning shif ka interview shuru tha karib 2 baje mera document verification khatm hua. 2:30 baje ring baj gai aur mai darvaja push karake andar gaya.
Me: May, I come in sir?
Any of them: Yes, please.
Me: Thank you sir,(aur andar dakhil hua)
Me: Good afternoon sir, Good afternoon Madam.(madam ki taraf dekhakar)
Sabhine: good afternoon
Panel Head: Baithiye (Interview Marathi Language me hua puri tarah se)
Me: Thank you sir
Head: Vivekanand Panchal…. Kya aap Ennath Ranade ke bare me jante ho?
Me: Ji nahi sir, (thoda pause lekar)..kabhi to suna hai lekin reference nahi lag raha hai.
Head: bilkul bhi nahi?:
Me: Ji sir bilkul bhi reference nahi lag raha hai.
Head: ok, aapko tenth me 60% hai, aur 12 me kitane hai?
Me: 45.17 sir
Head:: ok aapne graduation open university se kiya hai
Me: han sir,
Head: kya aap Verghese Kurien ke bare me janate hai?
Me: ji han sir, White revolution me unkaa bada yogdan raha hai aur Amul dudh unhi ke kary ka hissa hai.
Head: White revolution yani?
Me: sir, dudh ke utpadan mu jo bade paimane par badotari hui usi kranti ko shwet ya dhaval kranti kaha jata hai.
Mam: desh ke raksha mantra kyon hai?
Me: Manohar parrikar
Mam: Rail Mantri?
Me: Suresha Prabhu.
Mam: Nirmala Sitaraman ke pass kon sa mantralaya hai?
Me: vanijya
Mam: Maharashtra ke mantrimandal me kitani mahilaye hai:?
Me: kitani hai ye to pata nahi.
Mam: chalo kisi mahila mantra ka nam bolo?
Me : Pankaja palave
Mam: Maharashtra se Kendra me kon kon se mantri hai?
Me: Anant Gite, Prakash Javadekar, Suresh Prabhu, Nitin Gakari
M1: Bank yani kya?
Me: Depositors se deposit lena aur logon ko lone dena
M1: isake alava bank aur kya kya kam karati hai?
Me: Bank draft muhaiya karati hai, cheque, online kharidari ke liye cash transfer jaisi suvidhye deti hai.
M1: BS, Business correspondence kya hota hai?
Me: explained
M1 : Kabhi BS se mile ho?
Me: nahi
M2: 7 sister’s ke bare me jante ho kya hota hai?
Me: northeast ke 7 states ko 7 sister’s kaha jata hai?
M2: kuch nam batana
Me: Nagaland, Meghalaya, Tirupura, bas sir itane hi yaad aa rahe hai
Head: bahut bataya inhone to
Head: Ghar me kon kon hote hai?
Me: Bata diya
Head: Pitaji kya krate hai?
Me: bata diya?
Head: aap kya karate hai?
Me: Video mixing
Head: ye kya hota hai?
Me: explained
Head:  aap ko to bad scope hai
Me: sir mai gramin area se aata hun isiliye muze vahapar utana scope nahi hai
Head: fir bhi 15-20 harjar Mahina kama lete honge?
Me: Sir mera business seasonable hai, fir bhi saal ka average nikale to mahina 10 haraj tak mil jate hai
Head: fir to achcha hai, gramin area me 10 harjar bahut hota hai, kya karcha hota hai gramin area me
Me: han sir filhal to thik chal raha hai
Head: aapko aapake gaon me to posting nahi milegi, Ratnagiri ko nokari karoge?
Me: han sir nokari to kahi bhi kar lunga
Head: Ratnagiri apake village ke kon se disha me hai?
Me: West
Head: Ratnagiri ke bare me aur kya janate ho?
Me: sir Ratnagir Hapus aam ke liye lokpriya hai
Head: Hapus aam aapke village me lagaya to upaj payega?
Me: possibility kam hai, kyun ki mere village me pani ki badi kami hai aur jamin ki quality bhi achchi nahi hai.
Head: kheti badi hai?
Me: ji han sir
Head: kitani hai
Me: 1.5 ekkar sir
Head: kya ugate hai khet me?
Me: sir abhi to khet me ham kuch bhi nahi ugate?
Head: kyun
Me: sir Khet ugane ke layak nahi hai, mere pitajine ploting ke hisab se vah jamin kharidi thi.
Head: ok,….. tumhe aur kya puchu?
Me: bas sir
Head: itani hi taiyari ki thi ya aur kuch taiyari ki  thi?
Me: sir maine interview ke liye aaisi kuch khas taiyari nahi ki thi, jo muze malum hai vah batana aur jo malum nahi wo malum nahi aaisa bolana yahi meri taiyari thi…….
Head: (thoda soch kar) ………….. pressure cooker me anna jaldi kyun pakata hai?
Me: sir jab ham balloon ko fulate hai to balloon ke andar pressure hota hai aur sath me balloon ke andar ka tapman bahar ke vatavarn ke tapman se jada hota hai kyun ki under pressure tapman me badhotari hoti hai…..isi vajaha se pressure cooker me niche ki aag se bhap banati hai aur pressure create hota hai…….niche ki aag aur pressure ki vajah se badhi huye tapman se anna jaldi pak jata hai.
Head: ¼  of 45000
Me: 11250
Head: ¼ of 4500
Me: 1125
Head: ¼ of 45
Me: 11.25
Head: ok ….aap chaliye
Me: thank you sir , thank you mamdam.
sponsored links

0 Responses:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...