Search your Topic HERE....

February 14, 2015

IBPS Clerk IV Interview Experience shared by Sunil Kumar (Patna)

3 comments

sponsored links

Name : Sunil Kumar

Interview Date : 12th February 2015

Place : Patna

Panel : III
Aapne dosto ke saath interview place par pahucha demag me zyada kuch chal nahi raha tha bus kisi tarah naiyaa par lagani hai esi hope ke saath andar ghusa ....
Waha ek bada hall tha jise dekhkar 10th board ki yaad aa gayi bada sa hall aur tension ka mahool ek officer  ne ek a4 size ka paper diya aur hindi me core banking par likhne ko bola .
Uss samay dimag pura blank ye baat bhi nahi aa rahi thi ki core banking hota kya hai.
Kuch second shant raha aur apne aap se baat ki pehle ball me hi out
.Sari mehnat bekar .................
Lekin tabhi c.B.S  term dimag me aa gaya aur mai likne laga itna tension tha ki side space bhi nahi chori.Kuch line likne ke baad maine submit kar diya dekha jayega jo bhi ho.
Bhi ek ek kar ke sabka document verification hone laga meri baari 16 jan ke baad  aaye .
Document verification officer ne mujhe yaad dilaya ki maine side space nahi chori hai laga ki ab ye bhi mera interview lega kya upar se meri handwriting uske baare me na batao toh hi accha hai khair use kaha
aapne accha likha hai uske baad document verify kiya
thanks god sabhi document sahi the obc certificate bhi sahi formate me tha
...............

Kuch der baad mujhe first floor par le jaya gaya jahan pehle se log baithe apne interview ka intezaar kar rahe the.Maine notice kiya sabhi ka interview lagbhag 4-5 min ka ho raha tha.Phir meri baari aayi.
.
.
.
.
Me-may i coming ma'am(door kholte samaye mujhe sir madam nazar aa rahi thi)
andar se aawaz aayi - aaye
panel me 4 member the m1 m2 m3 l1
sabhi ko good evening kaha
m1 - haa toh sunil ghabrana mat sabhi apne hi log hai
m1-sunil tum madhubani se ho
me- yes sir
m1-sahar se ho ya gaon se
me-gaon se
again m1-aapne kaha tak padha hai
me-sir i'm b.Sc graduate
m1-subject
me-chemistry  hons sir
m1-organic kuch yaad hai ,carbon aur hydrogen milkar kya banate hai
me-carbon hydro nervousness me pata nahi kya kah dala
wo log hsne lage
me-hydrocarbon sir
m1-accha isme oxygen milane kya banega
jo bhi himmat badi thi ho hawa ho gaye
me-------------sorry sir
m1-ions kya hote hai
me- charge particles
mujhe laga m1 science se the
m1-reaction kya hota hai
me-answered
m1-kaise pata chalega kon negative hai kon positive
me-bata diya
m1-sugar kon sa compound hai
me-sorry sir
m1-carbohydrates hai ,sugar ka formula
me-bata diya
m1 ne m2 ko puchne ko kaha
m2-madhubani painting ki ek famous artist ka nidhan hua hai wo kis gaon ki thi
me-maine artist ke baare me kaha par wo gaon ka naam janna chate the
m2-accha madhubani me kaun kaun se fasal ke season hote hai sabhi ke
samay ke saath fasal ke naam batao
me-miane kuch kuch bata par wo puri tarah satisfied nahi the
m2-kcc ka hota hai,kisko diya jata hai,kis chiz ke liye
me-bta diya
m2 ne m1 ki or dekha phir m1 ne m3 ki taraf
m3-india ko chor indian subcontienent me kis desh ko nobel prize mil chuka hai
me-maine pakistan ki malala ka naam liya
m3- usko toh sabhi jaante hai koi aur
me-maine bangala desh ke md. Yusuf ka naam lia
m3-pakistan me kalam ji ko bhi nobel mila hai
m1-md. Yusuf ko kis liye mila
me-financial inclusion
m1-accha tum jao ab
me- thanku sir  aur main bahar chala aaya
l1 ne koi sawal nahi kiya wo bus mujhe dekh rahi thi
mera interview 4-4.30 min chala
dekhte hai kya hota hai aage


 sponsored links


3 comments:

  1. my regional language is tamil.

    ReplyDelete
  2. they give me a newspaper and write some matters. but I said to the team members, I write my own sir. I wrote tamil ponmozhigal. they impressed, and said good priya.

    ReplyDelete

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...